Press Release No. : 30/2011
Date : 1 November, 2011
Ek se Tees November tak kam aamdani waale pariwaro ki aamdani sambandhi yogyataa par ek raashtriye sarwekchan Viti Levu aur Vanua Levu par ayojeet kiya jaega. Aamdani sambandhi yogyataa mei shamil hai vaktiye yogyata ya gun jo ki logo ke paas hai paiso ke maamle mei ya paise se ke sanbhibndhit gatividhiyo aur vahewaar jo log apnate hai aur apne mei shamil karte hai.
Is sarwekchan se ekatrith aakkando se Reserve Bank of Fiji aur hitdharko ko sahetha milegi pramanit aur bahetar smaghne mei ki Fiji ke log kaise paiso ka dekh-bhall aur arthik sewao ka upyog karte hai. Yah Aamdani sambandhi adharr-rekha sarwekshan wartamann sthar ki arthik padne likne ki yogata aur vartaao naapne mei tatha pariwaron ki arthik sucsukh nirdharit karega.
Reserve Bank of Fiji ke Governor, shree Barry Whiteside ne kaha yah sarwekchan saheta karega hitdarako ko jin mei shamil hai sarkaar, arthik sansthaye, paathshaala aur naagrik saamajh,ta ki weh ek rashtriye arthik padne-likne ki yojna ka wikaas Karen. Yah yojana mahatpoorwa mamlo ko sulghane me sahayta karega jismei shamil hai kis prakaar ki arthik padne-likne ki training pradaan kiya jaye, uchit prakaar ki arthik sewaaye tatha neeti wedhi, yojna aur karya yojna jo ki arthik padne-likne ki yogta mazbooth karege.
Governor Whiteside ne dohraya ki parinaam Fiji mein sabhi ke liye faedemand ho jaega. Is sarwekchaan ka report 2012 ki paheli timahi mein uplabhdad hone ki umeed hai.
Sarwekchaan pariyojna Reserve Bank of Fiji tatha Pacific Financial Inclusion Programme aur Fiji Bureau of Statistics ki bhagidhari ke dwara prabandhith kiya ja raha hai.